Kal, 19 November ko, tareekh mein pehli baar America, Russia aur China ke teenon sadar — Donald Trump, Vladimir Putin aur Xi Jinping — ek hi meiz par baithenge. APEC summit ke liye Shenzhen mein China ne kaisa protocol diya, sheher par kaisa sakht intezam hua aur kharchay ka woh sawal jis ka koi official jawab nahi — poori kahani is video mein.
Is mein Trump ki 'Beast' aur Putin ki Aurus gaadiyon ki tafseel, nayi summit building ki tameer ke 10 arab yuan wale official figure aur gala dinner ke menu ki jhalak bhi shaamil hai.
Aap ki raaye? Kal ki ye meeting duniya ko aman de gi, ya sirf ek aur photo session sabit hogi? Comment mein zaroor batayein.
Video pasand aaye to STORIX with FAYS ko YouTube par subscribe karein aur apni raaye comments mein zaroor dein. Mazeed videos ke liye Videos page dekhein.
